Teeth Whitening Tips


Teeth Whitening Tips

Danton ki nisbat mard or khawateen jism ke dosray hisson ki hifazat aur dekh bhaal mein waqt aur paisa kharch karte hain lekin danoton ki munasib dekh bhaal aur safai par ziyada tawajah dete hue nazar nahi atay. Iss ka nateeja yeh nikalta hai ke khoubsurti, mehangay libaas aur makeup se shakhsiyat to achi lagnay lagti hai magar jaisay hi un ke danoton par nazar padtee hai to un par jami mil kuchail aur saanson se uthti bad bo aas paas ke logon ke liye shadeed nagwari ka baais banti hai.

Iss liye zaroori hai ke Araish husn ke sath danoton ki safai sthrayi ko bhi mad-e-nazar rakha jaye kyun ke chamakdar aur safaid daant aap ki khoubsurti ko chaar chaand laga dete hain. Dant safed na hon to muh se badbu aati hai aur danoton par mojood jaraseem aur gandagi khayi jane wali khoraak ke sath maiday mein ja kar mukhtalif bimarion ka baais banti hai.

Hazrat Mohammad (SAW) ne danoton ki safai ke liye maswaak par bohat zor diya hai. Agar daant safaid aur saaf hunge to sehat bhi achi ho gi aur aap danoton ki bimarion se bhi mehfooz rahen gi ya ge.

Danoton ki chamak aur safedi se apni muskurahat ko jagmagana har mard o aurat ki khwahish hoti hai aur shayad isi maqsad ke liye woh salana hazaron rupay dentist ko day kar un ki safai bhi kerwatay hain lekin inhen koi khaas faida nahi hota. Mandarja zail mein daanton ki munasib dekhbhal aur danto ko safaid-o-chamakdar bananay ke liye gharelo totkay betaye gaye hain. Jin ko istemaal kar ke aap danoton ko saaf, sehat mand, mazboot aur dant safed bana sakay gi ya ge aur is ke liye aap ko bohat ziyada kharcha karne ki zaroorat bhi nahi parre gi.


Teeth Whitening Tips



Chamakdar aur safed daant kise pasand nahi aur motiyon jaise chamakate safaid daant aaj ke daur mein khoubsurti ke maloomat mein shaamil ho chuke hain. Yaqeenan aap din mein 1 ya 2 baar danoton par brush karte ya karti hongi, taakay woh saaf aur safaid ho jaye magar phir bhi un ki safedi wapas nahi aati.

Agar aisa hai to mandarja zail mein dant safed karne ki chand tips likhi gayi hain jin ko istemaal kar ke aap danoton ko safaid aur chamakdar bana satke ya sakti hain.



Tip: 1
Lemoo ka ras nikaal kar is mein daant saaf karne wala brush bigho kar rozana is se daant saaf karen. 2 teen roz mein hi peelay aur ganday daant saaf o shafaaf aur safaid ban jayen ge.


Tip: 2
Ek chamach methy soday mein aadhi chammach namak aur suhaga mila kar kisi bottle mein mehfooz kar len. Iss se din mein aik martaba daant saaf karen chand din ke istemaal se daant safaid aur chamakdar ban jayen ke.


Tip: 3
Chand qatray loving ka tail daant saaf karne walay brush par daal kar is se daant saaf karen. Sarson ke tail mein namak mila kar daant saaf karne se chand din mein daant safaid aur chamakdar ho jatay hain.


Tip: 4
Dant brush karte waqt agar toothpaste par thoda sa soda, namak aur lemoo ke 2 qatray daal kar danoton ko saaf kya jaye to nah sirf daant safaid aur chamakdar ho jaye ge balkay mun ki nagawaar badboo bhi khatam ho jaye gi.


Tip: 5
Danton se peelay dhabay khatam karne ke liye haldi ka istemaal bohat mufeed hai. 1 chamach haldi ko rai ke tail mein mila kar paste bana len. uske baad fitkari ko tawa par jala kar haldi aur rai ke paste mein shaamil karlen. Iss paste ko ungli ya tooth brush par laga kar daant saaf karne se danoton ke har maslay se chhutkara mil jata hai.


Tip: 6
Char khane ke chamach haldi mein 3 chamach nariyal ka tail aur 2 chamach backing sodda daal kar kantay (fork) ki madad se itna mix karen ke amezay ka rang naranji jaisa ho jaye. Isskay baad tooth brush par paste laga cross se danoton ko brush karen. Yeh paste danoton ko safaid karne ke ilawa danoton ke keeray bhi khatam karta hai.


Dant Safed Karne ke Totkay
Danoton ko safaid aur chamakdar bananay ke liye aap mandarja zail gharelo totkay bhi istemaal kar sakti ya satke hain. Kyunkay danoton ko safaid, chamakdar aur saaf suthra bananay ke liye qudrati ajzaa par mushtamil totkay nihayat mufeed hotay hain aur danoton ki mazbooti mein herat angaiz asraat muratab karte hain.


Totka: 1
Gharelu toothpaste danto ko safed banane ke alawa masooron se khoon anay aur soojan khatam karne mein bhi mufeed hai.

Meetha soda – 5 chaye ke chamach
Vegetable glycerin – 5 chaye ka chamach
Pudina ka tail – 2 qatray
Namak – 1/4 chamach

5 chaye ke chamach meetha soda mein vegetable glycerin ke 5 chamach, 2 qatray pudina ka tail aur aik chothai chamach namak daal kar inhen achi terhan mix karen aur aik bottle mein daal kar mehfooz kar len. Rozana is paste se danoton ko saaf karen danoton ke tamam masail se chhutkara mil jaye ga.

Isskay bar aks bazaar mein milnay walay tooth paste mein had se ziyada floride ki miqdaar danoton ko faiday ki bajaye nuqsaan deti hai.


Totka: 2
Gharelu mouthwash danton ka peela pan karne ke alawa muh se badboo khatam karne mein bhi bohat kaar amad hai. Gharelu maoth wash bananay ke liye aap ko mandarja zail ajzaa ki zaroorat ho gi.

Garam pani – 1 glass
Hydrogen peroxide – 2 chaye ke chamach
Kala namak – 1 chamach
long ka tail – 4 qatray
Safeda ka tail – 10 qatray
Meetha soda – 1 chamach

Meetha soda mein itna lemon juice dalain ke paste ban jaye, is paste ko tooth brush par laga kar danoton par achi terhan ragrain aur 10 minute tak laga rehne den. Mouth wash bananay ke liye garam pani mein tamam cheeze mila kar fridge mein rakh den. Iss mein se 1 chamach pani rozana le kar usay 1 chamach saaday pani mein mila kar kulian karen.

Chand din ke istemaal se mun ki nagawar badboo khatam ho jaye gi aur dant safed ho jain gy.

Post a Comment

0 Comments